Main Tanha Hu, Thik Hun..!!
Main Tanha Hu Thik H
Ab in Mehfilo se bhi muje dr sa lgta hai
Main bhi kbhi dosto ke sath baith kr
Thoda Hs liya krta tha
Ab to halat aise hai, ki haal puchne Wala bhi
koi apna sa nhi lgta hai..
Lekin fir bhi
Main Tanha hun, thik hun..!!
Ab kisi ko bhi apna bnane se drta Hun..
Ek wo bhi dour tha jb uske hone se sb apna sa
lgta tha..
Ab to haal aisa hai ki.. shishe mein khda shqs
bhi mujse nzre fer leta hai...
Lekin fir bhi
Main Tanha hu, thik hun..!!
Main kisise ab zyada baat bhi nhi krta..
Ek wo bhi zamana tha..jb main uske bare mein
btata thkta ni tha..
Ab haal aisa hai ki..main gairo se to
kya..apni maa se baat krne mein bhi katrata hun..
Lekin fir bhi..
Main Tanha hun, thik hun..!!
Muje ab kisi ki yaari ka aitbaar nhi..
Ek wo bhi mouqa tha.. jb main uski dosti pr
khud se har Jane ko bhi tyaar tha...
Ab to ayyam aisa hai ki..bhri mehfil mein use
ruswa kr Dena chahta hun..
Pr Kya kru...
Main Tanha hun, thik hun..!!
Maine to bay nafz tujse sirf sachai chahi
thi..
Tune to bewafai ka innam hi muje mukarrar kr
diya..
Main to fir bhi kbhi tujse ld liya krta tha..
Ab to kisi ke sath hsne mein bhi main ghabra
sa jata hun..
Lekin fir bhi
Main Tanha hun, thik hun..!!
Tune kbhi muje us Pyar aur Waqt ke kabil smja
hi nhi...
Aaj dekh main kitni Nafrat krta hun tujse..
Bina kisi aansoo ke aaj Teri Haqiqat sbko bta
rha hun...
Are Kha na...
Tanha hun... Akela Hun... fir bhi
Thik Hun..!!
Comments
Post a Comment