Yaad To Aati Hai..!!!

                                                                                                     

Yaad to Aati Hai, 

Acha lgta hai muje wo pal, jb phli bar tumse mila tha ,

Jyada Haste kyu ni, Tumne Mujse Pucha tha...

Maine tab bhi tumhe yhi kha tha,

Kisiki Yaad to Aati hai..!!!


Dekhte hi Dekhte tum mere kuch jyada hi kareeb aa gye the,

Afsos hai muje hum ghanto baatein kiya krte the,

Whatsapp ki chat list mein tum sbse upr dikhai diya krte the,

Khud ko tumse block or blacklist krwa ke,

Main bs yhi kh skta hun..

Yaad to Aati Hai..!!


Itne Waqt Baad, maine fir kisi pr bharosa kiya tha,

Nawakif tha is baat se ki tumhara, tumhare khud ke faide ka tha,

Yaad hai tumne kha tha,

Ki Ld jayenge sb se, tumhare liye

Are main hi anjaan tha ki ldai to tumhara pesha hi tha..


Main hi kambakht nasamaj tha ki tumhari maukaparast surat ko,

Tumhari masoom sirat man baitha,

Aaj main akela hu, tanha hun khush hun,

Pr fir bhi kya kru, majboor hu,

Kyunki Yaad to Aati hai..!!


Aaj bhi aksr humari purani tasveerein main akele mein dekha krta hu,

Kya glti thi meri ki tune muje yu nazarandaz krna seekh liya..

Badalte waqt mein kyu mujse bhi tune jhoot bolna seekh liya,

Ab tuje sochta hu to muje hasi aati hai,


Main hi majnoon tha, teri chah mein..

Ab Ubhar gya hun, sudhr gya hun,

Pr Kya kru, 

Aaj bhi Yaad to aati hai..!!


Manta hu maine hi iss khel ka anjaam mukarrar kia tha,

Manta hu mujse khafa hone ka, iss beintehan nafrat ka sabab maine tuje dia tha,

Lekin krta bhi kya, kb tk apne jazbaat tuj pr yu zaya krne deta,

Aaj bhi tera wo aakhri I Hate You, Never Talk to me again ka msg padta hu,

To hassi aati hai, lekin anjaane mein hste hste main ro deta hu,


Pr acha hai, ki aisi wafaein-bewafaein kbhi fir se laut kr nahi aati,

Aati hai to bs teri yaad hi aati hai,

Aaj bhi Yaad to aati hai..!!



...

Comments

Post a Comment